hindi tantra mantra totake

Friday, February 19, 2016

Mahavidya Maa kali Story -Mahakali Ke 108 Nam Hindi Me - महाकाली के बारे में

Aaj ki ye post bhut hi mahatwapurn he un logo ke liye jo janana chahate he ki Mata Kali Ki Uttapatti Kaise Hui? Mahakari Ki History. Story Of Maa Kali. Mahakali Yudh Ke Bare Me. Kaise Hua Shiva Aur Kali Ka Milan?  Inhe tantra ki adhishtatri devi kaha gaya he.sabhi tantra mantr totake in se suru hokar in par hi khatm hote he.

Mata Ki Sadhana se sadhak ko akalnrityu bhay ke nivaran ke sath-sath vak shiddhi ki bhi prapti hoti he kabhi koi karz nhi rehata.inki sadhnae vastav me ekdam saral aur powerful he.is kalyug me jaldi  hi effective hai.Ye sadhak  ke samast shatruo ka nash karne wali devi he.

Isiliye inka swarop  itna bhayavah he lekin wo inke bhakt keliye nhi apitu uske shatruo ke liye hai. kali mata apne bhakt ke shatruo par vajra ki tarah prahar karti he.isliye sadhak ko bina dare inki sadhana puja upasana apne jivan me avashya karni chahiy.apko apne jivan me ek urja aur alokik anand ki anubhuti hogi.aiye jante he mahakali ki history ke bare me.
Kali-History, Mahakali-Story, Kali-Yudh,Shiva-Kali-Milan, Kali-Ji-Ki-Uttapatti,
shatruo ka nash karne wali mata kali ki ye sadhana stotra

kisi bhi yantra mala murti ki pran-pratishtha kese ki jati he

Mahakali Story Hindi Me - काली कथा

Sabhi jante he ke prarambh me jab srashti ka koi namonishan nhi tha keval shunya tha sabkuchh,usi mahashunya me ek zabardast spandan  hua ar ek-ek karke putrotpatti hone lagi.us mahashunya ne sabko adesh diya ki jao srashti ki rachana karo.

inhi santano me se 15 santano ko yah samajh nhi aa raha tha ke kya kare,kese kare,kis tarah ki srashti banaye.wo sabke sab bhi mahashunya ki tarah hi dhyan me beth gaye.Dhyan to khud hi me kho jane ki ek prakruya he.dhyan shunya ho jane ki kala he.

Ye sab dekhakar mahashunya ne fir se apne ek putra ki utpatti shive ke roop me ki.shiv ne dekha ki pahale se hi 15 log dhyan me lage he to wo bhi dhyan me lag gaye.inko bhi dhyan me betha dekh kar akhirkar mahashunya ne rudra ko utpann kiya aur adesh diya ki mere in 16 pratirupo ke samaga karke srashti ka nirman karo.

10 mahavidhya aur mahakali mantra sadhana.

 mahakali ko khush karne ka sampurn pujan vidhi vidhan

Vah to prachand jwala ke saman sabke pas gayi lekin ve sabhi vikar shunya the usase samagam nahi kar paye.mahashunya ka pandrawa putra he"alakh"aur solawa putra"shive"he."rudra"ant me shiva ke pas gai aur boli mujhase sambhog karke srashti ki rachana kar.shiva ne rudra se kaha tu to mata he me esa nhi kar sakta.

Es par rudra ko gussa aa gaya ar usane shiv ko hi nigal liya,shive ne rudra me upasthit mahashunya ki sabhi kalao ko grahan kar liya ab ve khud hi sakshat mahashunya ban chuke the.jese hi rudra ne shive ko atmsat kiya mahakali ka prakatya ho gaya.kali arthat mool-shakti, prathm mahavidya.

Kalantar kali aur aghor shive ne milkar anant grah-nakshatr, surya,yoniya,putra adi sab kuch rach dala. adrishya se sadrishya karne ki mahavidhya he. mahakali sabhi niyamo ke pare he.shive ki shakti he shiva ke sath sambhog karti he,jaha bhi shive-tatva dikhai deta he vah sambhog ke liye atur rahati he.

Isi prakar srashti ki rachana chalti rehati he.chuki srashti ki rachana aghor tatva se hui he srashti ke nirman me aghor tatwa hi mool me rehata he.shive ki alinganbadhata hi kali ka pratham karm he.shive aur kali ke samayujya se premtatwa ka nirman hota he.yahi mahavigyan he aur ham sabaki utpatti ka karan bhi.

Stri virya ko atmsat kar leti he,udarast kar leti he virya me bethe shive mata ke rakt ka pan karta he.mata ka rudhir(khun)shishu ka bhijan hota he,mata ki sanse shishu ke hridayko dadkati he,mata shishu ko kas ke apne udar me bandhe rakhati he.virya kya hai? shukra kya hai? vah to usi ka ansh he,jisse vah prem karti he sambhog karti he,jisse vah sambhograt rahati he.

Usi ke mahabhag ko log bad me putr ki pribhasha kehate he. jivan ki uttpati hi aghor kriya se hoti he.jisane kal ko utpannkiya he vahkali he.jise mata ke rop me puja jata he vah kali he,vah pratham mata he,isiliye use prajnan rokane ki kriya bhiati he.samulata ke sath nasht kar dena rok dena sabse durlabh mahavidhan he.

baglamukhi sadhana aur mantra ke bare me

vibhinn prakar ki malao aur unse jude labh ki jankari

Mahakali Swarop Avataran Aur Yudh - काली अवतरण युद्ध

Ghor yudh chal raha tha parwati apni samast shaktiyo ke sath "shumbh-nishumbh","dhumra-lochan","chand-mund" ka vadh kar diya.asur dal mrityu koprapt horaha tha k tabhi "rakt-beej"aa gaya.

jese hi rakt beej par shaktiya prahar karti usake rakt ke darti par girte hi aneko rakt-beej punah teyar ho jate. akhirkar durga ne dakshin kali ka awahan kiya.kali ayi aur unhone apna char yojan ka vishal khappar uthaya.

Dekhate hi dekhate rakt-beej ka sara rakt pi gai.rakt beej ka prajanan samapt ho gaya.asur parajit hue. yahi he kali rahasya jo janm deti he,mrityu deti he,samulata ke sath samapt karne ki takat rakhati he. asankhya roop jinme se prakat hote he aur asankhya roop jinme samahit ho jate hai.usi ka nam mahakali he.

Yahi vah mahashakti he jo param urja ka mahakund he,isi se bramand me upasthit dev, nakshatr, grah, surya ityadi urjavwan hote he.isaki koi bhi thah nahi he, kisi bhi vani me itani aghorta nhin he k dakshinkiis maharani ke roop ka varnan kar sake,isake guno ka gungan  kar sake.sansar ke kisi bhi netra me itani aghorta nhi k inke digambar virat swarop kodekh sake.

Grah nakshatra dev gandharv asur brahma vishnu jinke bhay se thar-thar kampate he,jinke adesh ke age natmastak hote he usaka nam he mahakali. jinke andar nivas kar rahe he  brahmand grah nakshatr mandal unki kripa k bina kal me vilin ho jate he. dakshin ki is maharani se to surya bhi thar-thar kampate he.

Dakshin yam ka nivas sthan he yam mrityu ke devta he.sabhi prani jiv mrityu se bhaybhit rahate he,ar mrityu yam ki dasi he yam ke adesho ka palan karti he.to aap samajh sakte he yam kitana prachand he,vahi yam dakshin kali ko dekh bhag jata he kyoki use samapt karne ki takat kali me hi he.kali mahatod he yam kabhi tod kali he.

Kese Shant Hui Mahakali Yudh Me

Rund -mund se susajjit mahakali mahapralay machae hue hai jo bhi samne aa raha he usaka mund katate ja rahi he.ek-ek kar sabako lilati chali ja rahi he.tabhi shive bhi virat roop dhar ke zameen par let gaye,kali ka ek per shive ki chhati par pada,fir kya hua-ek taraf damru pada hua he,trishul kahi pada he,chandrama dar ke bhag raha he,ganga ke gale se awaz nhi nikal rahi he.sarp bilbila rahe he,nandi chhip kar tamasha dekh raha he aur kali ruk jati he.

Shive ki jatae khul jati he jese hi kali ka per shive ki chhati par padata he,ve yogmaya ko khinch lete he kali shant ho jati he,jeebh bahar nikal aati he,shive ankush he kali ke anyatha kali nirankush he.

shive kali ki kamzori he kyonki ve shive se prem karti he.kali akele chalti he akele hi sab pe bhari padati he.shive to kali ke abhav me shav he,shive ki kriya he kali.kisi bhi puran me kali ki mata ka koi varnan nahi he yahi kali ki jagatmata hone ka sabse bada praman he.

                              jivan ki har badha ka nivaran karne wale hanuman ji ke 5 mantra

                              hanuman ji ke pratyaksh darshan pane ke liye ye sadhana kare

Mata Mahakali Ke 108 Nam Kya He - काली के 108 नाम

1.kali 2.kpalini  3.kanta  4.kamda  5.kam sundari  6.kalratri  7.kalika  8.kal bhairav pujita  9.kurukulla 10.kamini  11.kamniya swabhavini  12.kulina  13.kulkatri  14.kulvartm prakashini  15.kasturi ras k saman nile rang wali  16.kamya  17.kam swarupini  18.kkar varna  19.kamdhenu  20.karalika

21.kul kanta  22.karalasya  23.kmarta 24.kalawati 25.krshodari 26.kamakkya 27.kaumari 28.kulpalini 29.kulaja 30.kulkanya  31.kalaha  32.kul pujita  33.kameshwari  34.kam kanta  35.kubj reshwar gamini 36.kam datri  37.kam harti  38.krishna  39.kud  40.kapardini  41.krishn deha 42.kalindi

43.kul pujita  44.kashyapi  45.krishn mata  46.kulishangi  47.kala  48.krim roopa  49.kulramya 50.kamla 51.krishn pujita  52.krishangi  53.kinnari  54.kartri  55.kalkanthi  56.kartiki 57.kambukanthi 58.krolini 59.kumuda  60.kamejivini  61.kulastri  62.kartiki  63.kritya  64.kirti  67.kalplata

68.kamang vardhini  69.kunti  70.kumud prita  71.kadamb kusumotsuka  72.kadambini  73.kamalini 74.krishn nand pradayini  75.kumari  76.kumari gan shobhita  77.kumari rajjan rata  78.kumari vrata dharini  79.kankali  80.kamniya  81.kotari  82.kam shastra visharada  83.kpal khatvangddhara  84.kal bherav rupini  85.kotrakshi  86.kashi  87.kelash vasini  88.katyayini  89.karyakari  90.kavya shastra pramodini

91.kam karshan rupini  92.kampith nivasini  93.kangini  94.kakini  95.krida  96.kirti vardhini 97.kalah priya  98.kund golod bhavpran  99.kaushiki  100.kirti  101.kumbhastini  102.kataksha 103.kavya 104.kokan priya  105.kalantar vasini  106.kanti  107.kathina  108.krishn vallabha.

Dhan Vebhav Samman Yash Kirti Ki Prapti Hetu In 108 Namo Ka Jap Evam Laung Se Havan Kare

hawan kese kare sampurn yagya vidhi hindi 

 navratri sadhana kese hoti he yah jane 

Mahakali History, Kali Ji Ki Uttapatti, Kali Ke 108 Nam. ki jankari apko kesi lagi hame avashya btaye ya apka koi sawal ho to camment box me camment kare hamari inhi upyogi sadhanao vibhinn mantro ki jankari hetu hame subscrib kare apke inbox me ek mail ayega use conferm kare dhanyavad.

No comments:

Post a Comment

comment karne se pehale comment as ke niche profile select karna na bhule