hindi tantra mantra totake

Saturday, April 2, 2016

Navratri Puja Vidhi Durga Mantra-Kalash Sthapana In Hind i- नवरात्रि पूजा विधि-कलश स्थापना

Navratri Me 9 Din Maa Durga Ji Ki Sadhana Kaise Kare? Durga Puja Ke Mantra Aur Vidhi Kya He? Nav-Durga Kalash Ghar Me Kaise Rakhe?Navratri Me Maa Durga Ki Sadhana abhisht fal dene wali he. ye sadhana 9 divasiy sadhana hoti he.is Puja Me Kalash ka bhi vishesh mahatw he.

jo kalash rakhate he unhe 9 dino tak vrat rakhana anivarya he. To chaliye me apko Step By Step Jankari deta hu ki Navratri Me 9 Din Maa Durga Ji Ki Sadhana Kaise Kare? Durga Puja Ke Mantra Aur Vidhi Kya He? Nav-Durga Kalash Ghar Me Kaise Rakhe?

Maa durga ko jagatjanani kaha gaya he.sher par sawari karne wali ye Sherawali Mata atayant hi matratw swabhaw wali he sada bhakto ki raksha karti he aur dhan dhanya se unka ghar bhar deti he. me yaha apko Maa Ki Puja Ki Saral Vidhi btane ja raha hu jissase shighra hi Mata Ki Kripa apko prapt hogi aur samast samasyao se chhutakara milega.

Maa durga ko jagdamba kahalana bhut priya he ap bhi isi nam de Maa Durga Ka Awahan kare. Maa durga ki sadhana se nav grah shant hote he khas taur se rahu ketu ki shanti hoti he.mata ki puja kal me sadhak ka stri gaman varjit he, vyakti ko pr stri se duri rakhani chahiye.

Apni drashti me bhi kanya roop rakhana chahiye arthat sadhana kal me kisi bhi stri ko kamuk nazaro se nahi dekhana chahiye.jin logo ko shatruo se dar he ve log khule muh wale sher pe sawar ma durga ka chitra lagaye.jin logo ka pesa nahi rukata un logo ko ma durga ke sher ke band muh wali foto ki puja kare.

dhumavati sadhana aur unke chamatkari mantra kya he

 mata mahakali ke swarop aur uttpatti kali ke 108 nam
Navratri-9-Din-Ki-Puja, Nav-Durga-Sadhana-Samagri,Nav-Durga-Hawan.

Nav Durga Sadhana Samagri - नौ दुर्गा साधना सामग्री

Durga Yantra, Durga ji ka chitra, Nariyal, Kalash, Nariyal, Mala, Pushp, Mishthan adi.
Navratri sadhana vidhi: sadhak durga festival k doran pratah kal snan karke asan par uttar ya purv ki or mukh karke bethe, samane chauki ke upar lal vastra bichhakar "bhagvati durga" ka sundar sa chitra sthapit kare.

Bhagwati ke chitra ke samane kumkum se range hue chawalo ki ek dheri banakar us par "durga yantra" rakh de.ab sarvapratham achaman ke liye teen bar jal lekar piye, fir asan par do achamani jal chhode, ab ganpati bhagwan ka dhyan aur pujan kare kumkum,akshat,pushp se fir dahine hath me jal lekar sankalp le.....

Sankalp-संकल्प लें

//om vishnu r vishnu r vishnuh shrimad bhagwato vishnoragya pravartmanasya asya bramano dhitiya parardhe shwet warah kalpe jambudhipe bharat khande aryavarte deshantargate punya kshetre kalyuge, kali pratham charane,  "amuk gotre" "amuk nam" sakal dukh daridray nivrattimam manokamana purti nirmittam bagawati durga siddhi prapti nimittam ch pujanam karishye//

kalash Sthapana - कलश स्थापना

Apni bayi or zamin par kumkum se swastik banakar us par kalash sthapit kare.isake bad kalash ke charo or kumakum se tilak karen.usame supari, akshat, doob, pushp, gangajal, sikka dale.upar se 5 ya 9 pan ke patte kalash me lagakar upar se geela nariyal rakhe aur nimn mantra ka ucharan kare.......


//om shrishachate lakshamishcjh patnya maho ratre parshave nakshatrani roopmashvino vyatam/  ishnannishana mummaishana sarvalokammaishanah//

//om mahakalye namah./

  om mahalakshame namah./

  om mahasaraswate namah./

 ///om nandjapaye nama./
         
   //om dhoomaye namah./

    //om shakambharye namah./  

 //om bhramarye namah./

     //om durgaye namah.//


          >Bhagawati durga ke chitra ko pani ki chhinte dekar saf kar de aur pujan prarambh kare<

Nav durga dhyan: dono hatha jodakar sree jagdambaye dhyanam samarpayami.

Nav durga awahan: om jagadambay awahanam samarpayami.

Padhya: jal me doodh milakar doob chadaye/ om jagadambaye paddham samarpayami.

Aachaman: laung tatha jayfal jal me dalkar chadaye/ om jagadambaye aachamanam samarpayamii namah.

Ardhaya: doob, til, chawal, kumkum jal me dalkar chadaye/ om jagadambaye ardhya samarpayami namah.

Madhupark: dodh me dahi, ghee, shahad milakar chadaye/ om jagadambaye madhupark samarpayami.

Snan: snan hetu nimn mantra bolakar jal chadaye..........

 //paramanand bodashdhi nimagn nijamurtaye/samompag midam snanam kalpyamyahamishate.//

Vastra: vastra chadaye ya vastra ke sthan par mauli (kalawa) chadaye. mantra bole....
 //om jagadambaye vastropvastram samarpayami namah gandh akshatani samarpayami namah//

                                                >  pushp, dhoop, Deep aadi dikhaye <
                             //om jagadambaye dhoopam, deepam, pushpam samarpayami.

 naivedh, dakshina chadaye:                                                                                                                    

// om jagadambaye naivedham, nivedayami namah,dakshinam dravyam samarpayami namah//

Nav durga mantra:   nimn mantra ka 5 mala mantra jap karen.

                            //om dum durgatinashay dum om fatt//

>durga shakti ki yah sadhana navratri me 9 din karni he, pratyek din 5 mala jap ke alawa  "narvan mantra" ..
 "em hreem kleem chamundaye vicche" "durga saptshati" ka path aadi bhi sampann kare. yatha sambhav ek samay bhojan (falahar) kar 9 din tak nirantar sadhana kare. ab durga ji ki aarati bhi karen.

Samarpan:

 Gumhatigummam twam grahanasmratam kratam japam siddhirmavatu me devi twatprasadan maheshwari.

Pushp lekar bhagawati ko chadae tatha prasad vitaran kare. navratri sadhana ke 9 din pure hone ke bad samagri ko jal me pravahit kar de. kalash ke jal ko sare ghar me chhidake. shesh jal tulasi ke paudhe me dal de. kalsh ke upar jo nariyal he use saparivar grahan kare.antim di 5 athawa 9 kanyao ko bhojan karaye.     sambhaw ho to hawan avashya kare.

                      mahakali ki uttpati aur unki puja vidhi kya hai

                      mata baglamukhi ki sadhana aur unke bare me

Navratri Me Ma Durga Ke 9 Alag Alag Rupo Ki Puja Kese Kare

Pratham Din Shailputri - शैलपुत्री

Lakadi ki chauki par lal rang ka vastr bichhakar us par kesar se hindi me"sham"likhe sadhak shailputri ka dhyan karte hue lal pushp chadae. dhyan mantra.....

vandevanchhit labhay chandrardhkratkeshram vrasharudam shooldharam mataram ch yasasvanim

Bhagwati ko apni manokamana ki purti ki prarthana kar naivedh chadae,fir 108 chirami ke dano ko 1-1 kar nimn mantra bolate hue mata ke sammukh chadae:....

                           //om sham shailputraye fat//

Isake bad punah apni manokamna ki purti ki prarthana kar bhagwati ko aarti pradan kare.

Dusara Din Brahmacharini - ब्रह्मचारिणी

Bhagwati durga ke bimbatmak darshan tatha arogyata hetu ye sadhana karni chahiye, sadhak lal vastra ke upar pile rang ke chawalo ki ek dheri banakar us par "hari hakik mala" sthapit karke brahmacharini ka dhyan nimn mantra bolakar kare:...

dadhana karpadmabhyamakshmalam kamandalum devi prasidatu mayi bramcharinya nuttama//

Dhyan ke pashchat mala ka sankshipt pujan kar doodh se bana hua bhog arpit kare tatha "hari hakik mala" se nimn mantra ka 11 mala jap sampann karen:.....

                                      //om bram brahmcharine namah//

Tisara Din Chandraghanta - चंद्रघंटा

Samast badhao ke nirakaran tatha akasmik dhan prapti ke liye ye sadhana kare,sadhak ko lakadi ke bajot par vastra bichhakar samane "chandraghanta" "durga yantra" sthapit kar devi ka dhyan karen:...

//akhandjadravraruda chandkoparmriputa prasadam tanuta maham chandraghanteti vishruta//   

Isake bad 51 pushp arpit karte hue nimn mantra ka 108 bar jap karen:.....

                                //om cham cham cham chandraghantaye humm//

Chautha Din Kushmanda - कुष्माण्डा

Sadhak pile rang ka vastra bichha kar us par durga yantra sthapit kar "kushmanda" ka dhyan karen:..

//surasampurnakalasham rudiraplutmev ch dadhana hastapadmabhyam kushmandeti namo namah

 Fir 108 safed pushp chadate hue nimn mantra ka jap kare:....

                              //om kreem kushmandaye kreem om//

Panchawa Din Skand Mata - स्कंदमाता

Apane samane lakadi ke bajot par pila vastra bichha kar us par kumakum se "om" likhe fir ek tambe ke patra me "grahast sukh yantra" sthapit kar devi ka dhyan karen:...

//singhasanmata nityam padmachitkaradhya shubhdastu sada devi skandmata yasaswani//

  101 Lal pushp nimn mantra ka uccharan karte hue chadae..

                                        //om skandaye devye om//

Chhata Din Katyayni - कात्यायनी

Samane bajot par lal rang ka vastra bichhakar us par kajal se gol ghera banakar shatru ka nam likhe.dhyan...

//chanrasojjavakara shardulavaravahana katyayni shubham dadhat devi danvaghatani//

 "kali hakik mala" se yantra ke samaksh 13 mala iap kare nimn mantra ka:......

                                       //om kraum kraum katyayanye kraum kraum fatt//

Satwa Din Kali - काली

Is din sadhak lal vstra bichhakar us par "kalratri yantra" sthapit kar kalratri ka nimn mantra se dhyan kare:..

//kralroopa kalabja samankrativigraha kalratri shubham dadhat devi chandatthasini//

Fir "kali hakikmala" se 9 mala mantra jap nimn mantra ka karen:......

               
  //leem kreem hum//

Isake bad ek mala dakshin kali mantra ka jap bhi awashya karen:....

//om kreem kreem kreem hreem hreem hoom hoom dakshine kalike kreem kreem kreem hreem hreem hoom hoom swaha//

Isake bad mahakali mata ki arti bhi kare

Ashtam Divas Mahagauri - महागौरी

Samane bajot par safed reshami vastra bichhakar us par tamrpatra me "mahagauri yantra" ka sthapan kare

shwetahastisamaruda shwetambardhara shuchih mahagauri shubham dadhanmahadev pramodada 

Hakik mala se 21 mala jap nimn  mantra ka kare:....

                                          //om shreem mahamauryem om//


Navam Divas Siddhidayini Durga - सिद्धि दायिनी दुर्गा

Safed rang ka vastra bichhakar us par "siddhidayini durga yantra" sthapit karen nimn mantra se dhyan kare..

             //siddhi gandharv yakshayeh asurerapi sadhyamana sadabhuyat siddhidayini// 

Fir sarva siddhi mala ya rudraksh mala se 31 mala mantra jap karen:....

                                        //om sham siddhi pradaye sham om//
Orignal-Siyar-Singhi-Hatha-Jodi, Mala-Moti-Rudraksh-Sfatik-Munga.
Prayog samapti ke bad aarti kare hawan ityadi bhi kare tatha  Kanya Bhojan  avashya karaye Sherawali Mata apki manokamna avashya hi purn karengi Durga Navratri Sadhana Vidhi apko samajh n ayi ho ab bhi koi sawal ho to zaroor puchhe cumment box me likhe ya hame subscrib kare box me apna email id dale. Durga Maa Ki Kripa apko mile dhanyawad. 

  

7 comments:

  1. Raj ji jo log ashtami karte hai...wo kese kare...

    ReplyDelete
  2. Theek hai ji
    Jo maa kali sadhna hai usme to asthmi kar sakte hain...

    ReplyDelete
  3. ji kar sakte hai aur is post me jo navdurga sadhana he wo bhi kar sakte he bas alag-alag rupo ki sadhana me 9 din karna he

    ReplyDelete
  4. Hanji
    Ye btaiye durga yantra, grahast sukh yantra, kalratri yantra, mahagauri yantra, siddidayini durga yantra...kese bante hain...aur kya ye sab alag alg choki pe bnane hain..mtlb 9 chokiyo pe ????
    Hari hakik mala, kali hakik mala kese bnti hai...

    ReplyDelete
  5. durga yantra grahast sukh yantra aapko sunar ki dukan ya market me mil jaenge inka istemal 9 din ki sadhana me karna he har din alag yantara chauki ek hi rahegi hari hakik mala bhi mil jaegi hakik ke pattharo ki hoti he koi mala n hone par rudraksh mala ka use kar sakate he yantra banane ki vidhi mene post ki hui he waha dekh le

    ReplyDelete

comment karne se pehale comment as ke niche profile select karna na bhule